Khushbu E Ghazal 20-04-2015 « Dosti Group

م

بريڪنگ نيوز
Website Owner Sir Ayaz Ali Solangi ki taraf se tamam DG Members ko Eid ul Azhaa Mubarak****/ [CC_DG]

Wednesday, 29 April 2015

Khushbu E Ghazal 20-04-2015

Posted by Unknown  |  Tagged as:

(Khushbu E Ghazal)
Teray Shaher Teri Soch Say Nikal Jaon Gi,
Kisi Udaas Sham Main Dhal Jaon Gi,
Tu Jo Mukar Gaya Hai Her Baat Say Apni,
Dekh Lena Eik Din Main Bhi Badal Jaon Gi,
Mat Dikha Muj Ko Apna Pasheman Chehra,
Jab Ke Tu Janta Hai k Main Pighal Jaon Gi,
Chahay Lakh Tarpon Tere Intzaar Main,
Mat Lot Ke Aana Main Sambhal Jaon Gi,
Tera Hona Itna Zarori To Nahi Hai,
Main To Yaadon K Khilony Say Behal Jaon Gi...!
/
Sagar Salam

Ghotki


(Khushbu E Ghazal)
,,+"+,,
Gham Viraasat Mein
Mily Aur Dard Sehta
Reh Gaya
"+,,+"
Aankh Sy
Aansu Na Tapka
"+,,+"
Kh00n Behta
Reh Gaya
"+,,+"
Chh0rr Kar W0 Chall
Dia Be-Jaan Kar K
Shehar Mein
"+,,+"
Main Jisy Ik Umar
Apni Jaan Kehta
Reh Gaya
"+,,+"
Khul K Ham Us Sy
Byaan Dil Ki Na
Haalt Kar Saky
"+,,+"
Aur Yehi Kaam Ham
Sy Rehta Rehta
Reh Gaya
"+,,+"
Khushk Banjar Aur
Pyasi Sb Zamenein
Reh Gai
"+,,+"
Ik Dariya Chand Qadm00n Par Hi
Behta Reh Gaya
"+,,+"
Leny Waly Ly Gaye
S0ny Mein Us K0
T00l Kar
"+,,+"
Aur Main
Madhosh Shaayer
"+,,+"
Shair Kehta
Reh Gaya.
/

BY_Azam Magsi Matyari


(Khushbu E Ghazal)
Mohabbat es qadar jb ho tu phir izhaar be_maani,
Mera israar be_maani tera inkaar be_maani,
Agar taareek rahon mein na un k deep jaltay hoon,
Tu phir asloob la_hasil tu phir ashaar be_maani,
Yahan bazar barpa hai yahan ajnaas ki qimat,
Mera mahool tajir hai yahan aqdaar be_maani,
Ziyaan_o_sood paimany yahan k mukhtalif thehry,
Yahan fikr_o_ nazar baatil yahan kirdaar be_maani,
Agar makhlooq ki ulfat nhi hai ja_guzeen dil mein,
Ye auraad_o_wazaif hain meri sarkar be_maani,
Haya sy gar na jhukti hon tu phir aankhon mein kia khoobi,
Na jhalky laaj ki surkhi tu phir rukhsaar be_maani...

M.Siddique 4rm M.garh

0 comments:

flag Counter

Subscribe to our Mailing List

We'll never share your Email address.
Copyright © 2014 Dosti Group. Powered by Blogger.
+923003170728 Owner Ayaz Ali