[DG Principles_1]
1-Dosti Group piyar, muhabat aman aur salamati ka group hai, is liye DG men siyasi, mazhabi behs bazi ki ijazat nahi hai, ameer ghareb choty bary ka faraq nahi hai sub ki hesiyat barabr k dost k jaise hai.
2-DG me shamil hony waly ki Age 18 years hona lazmi hy. New membr DG k kisi b membr ki marfat shamil ho sakta hy, jo k shamil hone wale dost se by face mila huwa ho. New membr k liye DG BIO-DATA form mukamal bharna lazmi hy, form apne distt president aur cc ko bejhne ka paband hoga.
[CC_DG]
[DG Principles_2]
3-Jhoot bolne, distt President ki taraf se har month unactive membrs ki list milne, dosre group k mutaliq DG main msg chalane, fasadat k msg chalane, istifa dene wale, koi b rule torne wale aur 3 jaiz shikayaten milne ki sorat me foran DG Membrship khatam ki jae gi.
4-DG Rejoining karne wale dost apne distt k 4 membrs aur apne distt: president ki himayat se dobara shamil hosakta hy, 3 martaba istifa dene wale pe 2 saal ki pabandi hogi.
5-Kisi sangeen noiyat yan koi aur Jurm krne ki sorat me CC_DG Members apas me yan zarorat parne par Senior Comettee se mashawrat kar k 15 din se 2 saal tak pabandi laga sakti hy.
[CC_DG]
[DG Principles_3]
6_Saal main 3 martaba yani April, August aur December main DG main new membrship open ki jaye gi. New membr k liye matualqa distt: k DP ki tasdeeq lazmi hy. New member ka DG Rules se mutafiq hona lazmi hy, DG k tamam silsilon me shirkat karna lazmi hoga. 10 din unactive rehne ki sorat me membrship mautal ki jae gi.
7-Aik 3 rukni senior pe mushtamil comettee hogi jo CC_DG se hal na hone wale issues yan sangeen qism k masail ko hal kare gi.
8-Seniors Comettee DG senior meeting aur annual meeting ka inaqad kare gi.
9-Seniors Comettee DG President ki taraf se refer kiye gaye masle ko hal kare gi.
10-Seniors Comettee ki mudat 2 saal hogi.
11-Kisi bhi CC_DG member ki apni mudat poori hone se pehle Senior Comettee CC_DG member k liye form wusool kare gi. CC_DG k umeedwar dost koi bhi 3 ahal doston ki comettee muntakhib karen ge aur woh election karwaye gi.
[CC_DG]
[DG Principles_4]
12-CC_DG ki mudat aik saal hogi. Mudat poori kiye begair istifa dene wala CC_DG member 2 saal tak kisi bhi uhde k liye form submit nahe karwa sake ga.
13-CC_DG 3 members pe mushtamil hogi jis main President, Gen.Secretory, Complaint I\C, shamil honge.
14-DG ka intezami sarbarah President hoga.
15-CC_DG ki election har saal December main hogi. Jis main DG ka har dost vote dene ka paband hoga. Vote na dene wale dost ki DG membrship aik month tak mautal ki jae gi.
16-CC_DG ki election k forms Senior Comettee wusool kare gi. CC_DG k umedwar dost koi bhi 3 ahal doston ki comettee muntakhib karen ge jo CC_DG ki election karwaye gi. Comettee ka faisla hatmi hoga.
17-DG Main Foundation banaye jaye gi. Jis me DG k mukhalis dost hisa Len ge. Jo DG K Zarorat mand doston k liye kam kren ge.
[CC_DG]
[DG Principles_5]
18-CC_DG ki election k liye, mudat pori krne wale old CC membrs, old DPs aur old I/Cs ahal honge. jinhon ne apne uhdy ki mudat poori ki hogi.
19-Distt President apni muqrar karda V.DP k sath election larne ka paband hoga. Jis ki election mataliqa distt: k dost karen ge.
20-DPs ki mudat 6 months hogi. Apni mudat poori kiye begair istifa dene wala dp aik saal tak kisi bhi uhdy pe dobara form submit nahe karwa sake ga.
21-Kisi bhi silsila I/Cs ki election CC_DG karwaegi.
22-Silsila I/Cs ki mudat 6 months hogi. Apni mudat poori kiye begair istifa dene wala I/C aik saal tak kisi bhi uhdy k liye form submit nahe karwa sake ga.
23-Silsila I/C silsila chalane me khud mukhtiar hoga aur use koi challenge nahe kar sake ga.
24-Silsila I/C ko hatane ka ikhtiar sirf CC_DG ko hoga.
[CC_DG]
[DG Principles_6]
25- Silsila I/Cs ki election DPs k vote zariye ki jae gi.
26-Rules main tarmim ka akhtiar CC_DG ko hoga. Tarmim k liye CC_DG seniors comettee aur senior doston ki mashawrat se tarmim kar sakti hai.
27-DG k kisi dost ki sim gum hone, contact delete hone ki sorat me CC_DG k kisi bhi member se rabta kare ga jo dost ko malomat dene ka paband hoga.
28-CC_DG ki traf se mushawrat se kiye gaye faisly ko koi bhi challange nahe kar sake ga.
29-Complaint sirf complaint I/C ko hi note karwai jae gi. Group me msg fwd nahe kiye jaen ge.
30-DG main complaint msg fwd karne wale k khilaf CC_DG karwai kare gi.
[CC_DG]
[DG Principles_7]
31-DG member k kisi Qareebi aziz k intaqal yan hadsay ki sorat me Information jari ki jae gi. Kisi k personal dost yan Rishtedar ki Information jari nahe hogi.
32-DG se Istifa dene wale membr ki DG me 3 month tak Membrship mautal rahe gi.
33-CC_DG k liye koi bhi ziyada se ziyada 4 martaba ahal hoga.
34-Distt President, CC_DG aur silsila I/C ki taraf se milne wali har Information apne distt: membrs tak ponchane ka paband hoga.
35-DG ka markaz 'Centre' Hyderabad hoga.
36-DG Senior member ki limit
Age at least 20 years hogi.
DG main 2 saal tajurba.
DG k mutaliq maturity.
Dosti k phalsaphy ko samajhta ho.
[CC_DG]
م
DG Fresh Rules
Subscribe to:
Posts (Atom)
About DG
About DG,
/
30/11/2008 ko dosti group ka buniyad, israr pakistani, aijaz mastoi, javed jugnu or sanam farooq chandio ne rakhi, pehly sadar israr pakistani the, aik saal se b ziyada arsa koi bhi sagment nahi chala tha, 10/7/2010 ko DG ki pehly meeting hyderabad me ki gayi, jiske intazamat A.G ne saranjam diye, meeting ki sadarat us waqt k sadr sanam farooq ne ki, meeting pehli bar dg k liye rules tarteeb diye, rules javed jugnu or A.G ne tarteeb diye, meeting me pehli bar sir shams or sir younis selro ki tajwez pe dg sagment "PASAND JO SHAIR (P.J.S) OR ANMOL MOTI (A.M)" start kia gaya.
Sagment ki maqboliyaj ko dekhte huye new sagment start kiye gaye, jisme weekly adabi topi (W.A.T) 1st incharge sagar salam, quiz competition (Q.C) 1ST inch: waseem mangi, challange question (C.Q) 1st inch: A.G, khusbu e ghazal (K.G) 1st inch: ahmed halepoto. Meri pehchan (M.P) 1st inch: Sufi Shahid Mangi.
DG ki taraf se DG k doston ko kis b waqt blood ki zarorat ko pora karne k ly DG BLOOD DONATION program start kia gaya js me dost apne tor pe zarort k waqt blood de or le sakte hen. Is progrm k 1st chairman A.G the.
DG k kul 5 annual meeting ho chuki hain.
1) 10th July 2010 at hyd
2) 5th Dec 2010
at NF
3) 20th Dec 2011
at Jamshoro
4) 14th Oct 2012 at Nawabshah
5) 15 Nov 2014 at Sehwan
Labels
Blog Archive
-
▼
2015
(519)
-
▼
December
(33)
- Result of the Mere Qalam Se 11-11-2015
- Result of the Pasand Jo Shair 10-11-2015
- Result of the Challenge Question 10-11-2015
- Result of the Challenge Question 09-11-2015
- Result of the Khushbu E Ghazal 09-11-2015
- Result of the Quiz Competition 07-11-2015
- Result of the Weekly Adabi Topic 08-11-2015
- Result of the Anmol Moti 06-11-2015
- Result of the Mere Qalm Se 04-11-2015
- Result of the Pasand Jo Shair 03-11-2015
- Result of the Khushbu E Ghazal 02-11-2015
- Result of the Challenge Question 02-11-2015
- Result of the Weekly Adabi Topic 1-11-2015
- Result of the Quiz Competition 31-10-2015
- C.C D.G announcement info 31-10-2015
- Result of the Anmol Moti 30-10-2015
- Result of the Mere Qalam Se 28-10-2015
- Result of the Challenge Question 28-10-2015
- Result of the Pasand Jo Shair 27-10-2015
- Result of the Challenge Question 26-10-2015
- D.G C.C Announcement 23-10-2015
- DG C_C Leave info 22-10-2015
- Result of the Challenge Question 19-10-2015
- Result of the Weekly Adabi Topic 18-10-2015
- Result of the quiz competition 17-10-2015
- Result of the Anmol Moti 16-10-2015
- Meri Pehchan Segment Form-121 15-10-2015
- Meri Pehchan Segment Form-120 15-10-2015
- Meri Pehchan Segment Form-119 15-10-2015
- Meri Pehchan Segment Form-118 15-10-2015
- Result of the Pasand Jo Shair 13-10-2015
- Result of the Mere Qlam se 14-10-2015
- Result of the Challenge Question 13-10-2015
-
▼
December
(33)
Total Pageviews
.
0 comments: